Ab bhi aankho me, nami baki hai…
Ab bhi aankho me, nami baki hai
Un haseen palo me , zindgi abhi baki hai
Basein hai khwab, aankho ki talhati me,
Sapno me hakikat ka, zama abhi baki hai…
Badalte palo me, badalte rishte dekha hai,
Un rishto me, aansuo ka safar dekha hai.
Paya hai khud ko, bheed ka ek hissa,
Us hisse me humsafar ka, kissa abhi baki hai…
Ab bhi aankho me, nami baki hai…
Khud ko tanhai se, aisa lipta paya hai,
Jaise oos ki bundo pe, thand ka saya hai.
Paya hai phoolo me, parag ka kesar,
Par khud me khud ko, pana abhi baki hai…
Ab bhi aankho me nami baki hai…
Un haseen palo me, zindgi abhi baki hai…
Wah…shubhan allah..wah..